Wednesday, August 6, 2008
1.farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.
farz karo ke dhoop
ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo.
farz karo tum baithe baithe
gehri souch main kho jao.
baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.
farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna hooo.
bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apna hooooo.
farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.
khat likhne se pehle kaghaz
ko khushboo khoob lagatey hooo.
farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhara ruk jaey.
nazar tumhai dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaey.
farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.
farz karo sapne afsane khat
ka naam muhabbat ho.
farz karo hum donon ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.
farz karo ye saari baatain
FARZ na karni pardti hoon.........
2.Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay............
3.Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..
Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..
Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..
Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .
Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..
Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate.........
4.Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,
Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,
Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,
Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon.......
5.Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,
Meray sapni ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,
Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,
Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,
Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,
Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,
Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.........
6.Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,
Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi...........
7.Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,
Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,
Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,
Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do........
8.Jab se begum ne mujhe murgha bana rakha hai,
Main ne nazron ki tarhan sir bhi jhuka rakha hai,
Bartano aaj mere sir pe baraste kion ho ?
Mein ne dho dha k tumhain kitna saja rakha hai,
Roz leti he talashi wo police ki manind,
Pochti he kahan paison ko chupa rakha hai,
Wahi duniya main muqaddar ka sikandar tehra,
Jis ne khud ko yahan shadi se bacha rakha hai,
Pi ja is maar ki talkhi ko bhi has k shohar,
Mar khane mein bhi qudrat ne maza rakha hai..........
9.Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di,
Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi Ujad Di,
Kusoor Unka Nahi Hamara Hai
Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di.
Saza Dene Wale Raza Puchte Hain,
Jeene Ki Humse Wajah Puchte Hain,
Dete Hain Khud He Zahar Humko Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain,............
10.Jub yad ka album kholon to,
Kuch log bohut yad ate hain,
Main guzre dinon ka sochon to,
Kuch log bohut yaad ate hain,
Ab jane kis nagri main,
Soay pare hain muddat se,
Main raat gaye tuk jaogon to,
Kuch log bohut yaad aate hain
Kuch batein theen pholon jesi,
Kuch khushbo jese lehje thy,
Mein sheher-e-chaman mein tehlon to,
Kuch log bohut yaad aate hain
Wo pal bhar ki narazgiyan,
Aur maan bhi jana pal bhar main,
Ab khud se jub bhi rothon to,
Kuch log bohut yaad aate hain..............
11.Kya khabar tum ko dosti kya hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai
Dosti ek haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jai to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai............
12.Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri!
Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon!
Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!
Jo urdaday mujhay khudkash to doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !
Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai,
bethay bethay meray ghar walon ko daulat mil jaye!
Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !
Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !
In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!
Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai
Jan aur maal ho mefoz police walon sai!
Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay!!!!!!!!!!!!
13.Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain????????????
14.Kaisay kahon k apna bana lo mujhey,
Bahoun main apni sama lo mujhey,
Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo mujhey,
Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey,
Mere sab se gehri Khuwahish ho puri,
Tum agar pas apnay bula lo mujhey,
Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai,
Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey,
Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey............
15.Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna,
Main poch poch haron, so so sawal kar k,
Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna,
Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao, aisa kabhi na karna,
Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta,
Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna….!!!!!!!!!!!!!!
16.Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,
Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,
Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya............
17.Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO...........
18.Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,
Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,
Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,
Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.
Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.............
19.Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho.............
20.Meray Allah larai se bachana mujh ko,
Aur sikha day koi banduk chalana mujhko!
Khair se laut k ayain meray abbu ghar main
Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main !
Raat din jaam traffic na rahay sarkon per
Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per!
Qalma gawaion ko musalman banaday yarab
Naik aur saheb-e-iman banaday yarab !
Naam-e-Islam ki hurmat ko bachalay yarab
Waqt kai sarazy yazidon ko uthalay yarab
Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri..............
21.Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se pahle.
Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se pahle.
Sikhane lage the aap se muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.
Kadam jo badhen aap ki disha me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.
Magne ke liye kuchh jo jholi phailai,
Khich liya haath kuchh dene se pahle.
Hamne jo jalaye ummido ke chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.
Kya yahi arth hota hai rishto ka?
Tutana hota hai inhe banne se pahle...........
22.Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain,
Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain,
Hamain jeevan ka her lamha tumhare naam kerna hai,
Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain,
Suna hay mil k chalne se muqaddar jaag uthte hain,
Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain,...............
23.Un ka kiyaa dil main asay sama gaya..
Sehra main goya jasay hoo selaab aagya..
Ankhoon na meri ansoo say ashna thii..
Askhoo ka aaj tu hoon darya bhaa gaya…
Main us ko bewafa kahoon mumqin nahi dost..
Her jand zakham dil pay wo meray laga gaya..
Jinay ki baat or hay marnay ki baat or..
Duniyaa say jo gaya wo akela gaya…
“saqi” is jahan main rishtay aziz hain…
Acha wohe raha jo in ko nibha gaya................
24.Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila.............
25.kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n
phir khuwab agar ho jaao to kyaa
koi rang to do mere chehray ko
phir zakhm agar mehkao to kyaa
ik ainaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa
main tanhaa thaa main tanhaa huuN
tum aao to kyaa na aao to kyaa
jab ham hii na mahake phir saahib
tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa
jab dekhne waalaa koi naheen
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa............
26.Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye...........
27.Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon
Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon
Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon
Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon...............
28.Dost dushman nazar nahin atay
Ab to pather bhi ghar nahin atay
Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay
Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay
Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,
Dosti ho gaye sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay............
29.Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte
Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte
Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey
Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte
Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte............
30.Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se
Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewangi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai.............
0 comments:
Post a Comment