Sunday, June 1, 2008
1.Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho.
2.Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar use honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain.
3.Ban sahara be-saharo ke liye
ban kinara be-kinaro ke liye
jo jeeye apne liye woh kya jeeye
jee sake toh jee hazaro ke liye.
4.Dard ko na dekhiye dard se
dard ko bhi dard hota hai
dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
aahir pyar mein dard hee toh hamdard hota hai.
5.Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai
nigaah ko kisi soorat ki pyaas rehti hai
tere bina zindagi mein kami toh nahi
phir bhi tere bina zindagi udaas rehti hai.
6.Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga.
7.Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye..
aag aise lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain hum unhe yaad karke...
JISE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE...
8.Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari.
9.Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana saku
dard-e-dil ka haal suna saku
tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se
mauka mila hi nahi ki main dil ki baat tumhe bata saku.
10.Judaai ke yeh lamhe kitne ajeeb hai
tu door ho ke bhi mere kareeb hai
hum ek hokar bhi anjaan hai ek dooje se
yeh kaise hamare naseeb hai.
11.Teri Qurbat mili ..magar tera Sahara na Milaa..
Kareeb pahunch kar bhi Sahil ka Kinara na Mila..
Dekhta Raha Gaur se main hatheli apniii
Magar Mujhay apni Kismat ka Sitara na Mila...
12.yaado main kabhi aap bhi khoye honge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge
maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye honge.
13.rooth gaya hai mujhko manane wala
ab koii nahi hai nakhre uthane wala
par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza
shayad rasta bhool gaya hai aane wala.
14.ansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo...
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo...
duniya kisi ke zakhm nahi samjhti hai...
Apne Zakhm kisi ko dikhaaya na karo.
15.Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa,
khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.
16.Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,
Main sach likoon ke apne haalat likhoon,
Kaise likhoon main chandni raatein,
Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.
17.Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,
kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!
18.Who IK Dost jo pyara sa Lagta Hain,
Bahut Pass Hai Dil k Phir bhi Juda Sa Lagta hain,
Bahut Dino Se Aaya Nahi Koi Paigam Uska,
Shayad Kisi Baat Pe Khafa sa Lagta hain.
19.zindagi to ek khwab hai,
woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,
hath ke lakiron ko kismat na samajhna,
kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.
20.Ro Chuka Hu Me Itna Mujhe Kya Rulaega Koi,
Sun Chuka Hu Me Sab Kuch Mujhe Kya Bataega Koi,
Azmana Chahte Ho To Azmake Dekh Lo Mujhe,
Main Ek Bujhi Hui Shama Hu Mujhe Kya Bujhaega Koi !!!!!
21.Jab mujhe chorr ke ek din tu chali jaaye gi
kasam khuda ki mujhe teri yaad bohat aaye gi
jab kabhi lage gi towkar tere pathar dil ko
tab ja kar kahin tu apne kiye pe pachtaaye gi.
22.AshkoN ko humne kayi baar roka,
phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi,
Bharosa to tha hameiN apne aap par magar,
unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.
23.jaane waale chale jaate hain dost......
yaadein bhi khaak ho jaati hain.....
bas kuchh palon ki baatein hain.....
fir to parchhai bhi saath chhod jaati hai...
24.KABHI HUM BHEEGTE HAIN CHAAHTON KI TEZ BAARISH MEIN..
KABHI BARSON NAHI MILTE KISI HALKI SI RANJISH MEIN..
BOHUT HAIN ZAKHAM IS DIL MEIN MAGAR EK ZAKHAM AISA HAI..
JAL UTHATA HAI RAATON MEIN JO LOTA DETA HAI BAARISH MEIN..
25.Jis shaam mere lab per tera naam na aaye...,
Khuda kare aisi shaam na aaye...;
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin...,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye..!!!!
26.Wishwas ban ker log jindgi me ate hai wo
khwab banker ankho me sama jate hai wo
pahle to yakin dilate hai ki wo hamare hain
fir jane kuo tanha bana jata hai wo.
27.Log apna banake chhod dete hain,
Rishta gairo se jod lete hain,
Hum to ek Phool bhi na tod sake,
Log to dil bhi tod dete hain,
28.Ankho Me Mehfooz Rakhna Sitaro Ko
Aab Dur Talak Sirf Raat Hogi
Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hai
Kisi Na Kisi Mod Par Fir Mulakat Hogi..
29.Silsila pyar ka na khatam hua,,
juda hokar bhi ishq na kam hua,,
Vaada jinse kiye humse,,
Woh dard dekar,,Bewafa hua.........
30.Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya,
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to,
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya.